Tuesday, April 25, 2017

SAJDA E SAHU KAISE KARE

Agar hum hamara pura dhyan namaz mein lagaenge to in-sha-Allah koi galti nahi hoti. Lekin phir bhi agar ho jaati hai to namaz ko durust karne ke liye 'Sajda E Sahu' kar lena zaroori hai, aesa kar lene se namaz sahi ho jaati hai,
SAJDA SAHU (BHUL KE SAJDE) KA BAYAN
Sajda sahu se wo 2 sajde murad hain jo namazi namaz mein bhool ki wajah se salam se pehle ya baad mein karta hai.

Abu Huraira r.a. se riwayat hai
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Jab tum main koi namaz padhta hai to shaitan is ki namaz mein shuba daalta hai isko yaad nahi rehta ke kitni rakatei’n padhei’n jab tum mein kisi ko aisa ittefaq ho to baithe baithe 2 sajde kare.’ ( Bukahri: al Sahu 1232 ), ( Muslim: al Masaajid 389 )
3 Ya 4 Rakat Ke Shak Par Sajda:
Abu Saeed Khudri r.a. bayan karte hain ke
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Agar tum mein se kisi ko rakat ki tadaad ke bare mein shak pad jaae ke 3 padhi hain ya 4? To shak ko chod de aur yaqeen par etemaad kare. Phir salam pherne se pehle 2 sajde kare. Agar is ne 5 rakat namaz padhi thi to ye sajde iski namaz (ki rakat) ko juft kar deinge aur agar isne poori 4 rakat namaz padhi thi to ye sajde shaitan ke liey zillat ka sabab ho’nge.’ ( Muslim: al Masaajid 571 )
Abdur Rahman bin A’auf r.a. bayan karte hain ke
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
Jis shaqs ko namaz mein ye shak padh jaae ke aaya isne 1 rakat padhi hai ya do to wo isko 1 rakat yaqeen kare aur baqiya namaz puri kare, aur jis ko ye shak ho ke is ne 2 padhi hain ya 3 to wo isko 2 rakat yaqeen kare. Aur phir (aaqhri qaede mein) salam pherne se pehle (sahu ke) 2 sajde kare. ( Tirmizee: al Salah 398 – Ibne Majja: Iqaamatis Salah 1209) Imam Tirmizee, Imam Haakim aur Imam Zahabi ne ise Saheeh kaha. )

Sajda Sahu ka tareeqa ye hai ke aaqhri qaede mein tassha‐hud (darood) aur dua padhne ke baad Allahukabar keh kar sajde mein jaei’n. Phir uth kar jalse mein baith kar doosra sajda karei’n aur phir uth kar salam pher kar namaz se farigh hu’n.

Pahle Qaaeda Ke chorne Par Sajda:
Abdullah bin Baheena r.a. se riwayat hai ke
Rasool Allah (ﷺ) ne
Sahaba Ikram ko zohar ki namaz padhai. Toh pehle 2 rakatei’n padh kar khade hogae. (matlab Qaede mein bhul se na baithe) toh log bhi Nabi e Rahmat ke sath khade hogae yah’n tak ke jab namaz padh chuke (aur aaqhri qaede mein salam pherne ka waqt aaya) aur log salam pherne ke muntazir hue (to) Rasool Allah (ﷺ) ne takbeer kahi jabke aap baithe hue the. Salam pherne se pehle 2 sajde keiy phir salam phera. ( Bukhari: al Azan 829 – Muslim: al Masaajid 570 )
Mughaira bin Shoba r.a. kehte hain
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Jab koi aadmi 2 rakatei’n ke baad (tassha‐hud padhe baghair) khada hone lage aur abhi poori tarah khada na hua ho to baith jaae lekin agar poori tarah khada hogaya to phir na baith‐te albatta salam pherne se pehle sahu ke 2 sajde adaa kare.’ ( Abu Dawood: al Salah 1036 )
Namaz Se Farigh Ho Kar Batei’n Kar Chukne Ke Baad Sajda:
Hajrat Imraan bin haseen r.a. se riwayat hai ke
Rasool Allah (ﷺ) ne
Asr ki namaz padhai aur 3 rakat padh kar salam pherdiya aur ghar tashreef le gae. Ek Sahaabi Kharbaaq r.a. uth ke Aap ke paas gae aur Aap ke sahu ka zikar kiya to Aap tezi se logo’n ke paas paho’nche. Aur Kharbaaq r.a. ke qaul ki tasdeeq chaahi logo’n ne kaha Kharbaaq r.a. sach kehte hain. To phir Aap ne ek rakat aur padhai. Phir salam pher aur do sajde keiy. Phir salam phera. ( Muslim: al Masaajid 574 )
Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke
Rasool Allah (ﷺ) ne
Zohar ya Asr ki namaz padhai aur 2 rakat padh kar salam pher diya, baaz Sahaaba (namaz padh kar) masjid se baahar aagae aur kehne lage ke namaz kam hogai. Ek Sahaabi Zul Yadain r.a. ne Rasool Allah (ﷺ) se arz ki ke kya Aap bhool gae ya namaz kam hogai. Aap ne farmaya: na main bhoola hu’n aur na hi namaz kam hui hai, phir Aap ne Sahaaba Ikram se poocha kya Zul Yadain r.a. sach kehta hai. Inho’n ne kaha haa’n! phir Aap aage badhe aur choti hui namaz padhi pher salam phera phir 2 sajde keiy phir salam phera. ( Bukhari: 482 – Muslim: 573 )

In HAdiths se hame ye malum hua ki Jo shaqs 4 rakat ki jagah 3 padh kar salam pherde phir jab isko malum hojae ke main ne 3 rakat padhi hain to khuwah wo ghar bhi chala jaae aur batei’n bhi karle to phir bhi wo 1 rakat jo reh gai thee padhega isko saari namaz padhne ki zarurat nahi.

4 Ki Jagah 5 Rakat Padhne Par Sajda:
Abdullah bin Masood r.a. riwayat karte hain ke
Rasool Allah (ﷺ) ne
Zohar ki namaz (bhul se) 5 rakat padhai Aap se poocha gaya: Kya namaz mein ziyadati hogai hai? Aap ne farmaya kyou’n? Sahaaba ne arz kiya: Aap ne zohar ki 5 rakat padhai hain. Aap qibla ruqh hue aur 2 sajde keiy phir salam phera aur hamari taraf mutawajje hokar farmaya: Main bhi tumhari tarah Insan hu’n. Main bhi bhulta hu’n jaise tum bhulte ho, pas jab bhool jaou’n to mujhe yaad dilaya karo. ( Bukhari: al Salah 401 – Muslim: al Masaajid 572 )
Sajda Sahu salam se qabl ya baad karne ka zikar to ahadees mein aap mulaheza farma chuke hain. Lekin sirf 1 hi taraf salam pher kar sajde karna aur phir Attahiyyat padh kar salam pherna sunnat se saabit nahi hai, kyou’nke Tirmizee (395) ki riwayat ko Allama Naasir Uddin al Albani ne shaaz (T: Something deviating widely from common rules) kaha.
Ibne Sireen se poocha gaya ke kya Sahu ke sajdo’n ke baad tassha‐hud hai inho’n ne jawab mein farmaya ke Abu Huraira r.a. ki hadees mein tassha‐hud ka zikar nahi hai. ( Bukahri: 1228 )

Source : IqraKitab